Tuesday, 26 January 2016

Sher-o-Sayari

Zindagi bhar rahe tanha koi saathi na mila,
jab mile nai zindagi se tanhai bhool gaye.

Yu to laakh hanse hum zindagi main aksar,
par wo bachpan ka hansna aaj bhi aata hai zahan main.

Rah gaye raaste picche jo sakht the raah main,
Nikal rahe to ab to phool bhi un raaho main.

Ho gaya tha magroor paakar kuch daulat,
Phir dekha bhookhe bacche ko khush to ameeri bhool gaya.

Maangi thi fakat khushi mukhtassar si tujhse,
par tune fareb dekar mohabbat main mujrim bana diya.

Mila na koi rahbari ke liye "Quadir"
Dar-O-Dar ki thokro ne qaabil bana diya.


Abdul "Quadir"

No comments:

Post a Comment